Search Papers On This Blog. Just Write The Name Of The Course

Friday, 25 January 2013

))))Vu & Company(((( Mohameed ( S.A.W.W)

Mohammed Noor-e- mujasaum 

Hazoor (s.a.w.w) ki wiladat agurcha insani wajood me hui lekin haqeeqat mein wo Allah tala ka noor hein
aam noor he aaam tor pr lafz "Noor " roshni k mayno me istemal huta he lekin asal noor use khte he jo khud b roshan hu r dsro ko b roshni kare . is lea Allah tala ne hamare pyare nabi ( s.a.w.w) ko noor byan frmaya 
Sorah Mayeda ki ayest no 15 k akhri jazo me irshad-e-bari tala he 
Beshuk Allah ki traf se tumhare pass noor aa chuka he ( yani akhri nabi or roshan kitaab yani Quraan Pak)
isi trah Surah Nisaa ki ayet no 174 me Alllah tala ne furmaya 
Aye logo ! beshuk tumhare pass tumhare Rab ki trf se Burhaan a chuka he or hum ne tum pur noor yani ( Quraan Hakeem ) Nazil Farmaya
yha Mufaseerin Quraan ne burhan se murad Mohammed (s.a.w.w) or noor se QURAAN murad lea he 
Hazoor (s.a.w.w)  k noor k bare me Hazrat Usman Abi Al- Ass (r.a) apni walida se rewayet krte he 
Hazoor (s.a.w.w ki wiladat k waqat me ne dekha k aik noor zaahir hua he jis se ghur r tmam daro deewar ko norani kr dea he me ne dekha Asmaan k sitare nazdeek agye he me ne khyal kea k shaed wo muj pr a gire ge .
 bazz seerat nigaro ne likha he jub Ap (S.a.w.w) ki wiladat hui ap bilkul pak saaf peda huye ap ka cehra mubarik chodveh raat k chand ki trah chumuk rha tha or apk jism se mushk-o anbur ki khusboo arhi thi baz ahadees me aya he k Hazrat Amna frmati he k me ne shub-e-wiladat me dekha k aIk noor zahir hua her jis se shaam k mehlaat roshan hu gye he 
or ap (s.a.w.w ) ki wiladut se yahoodion me tehelka much gya. aik yahoodi ne hazoor (s.a.w.w) k dono shano k drmeyan aik khas ilamut dekhi  to behosh hu kr zameen pr gir gaya phir khne lga , khuda k kism ! bani israyeel ( yahoodi qoum ) se nabuwat jati rahi 


( MIDARH NABUWAT PAGE NO 62,63 JILD DOEM)

--
 
 

No comments:

Post a Comment