Search Papers On This Blog. Just Write The Name Of The Course

Tuesday 31 March 2015

))))Vu & Company(((( Bismillahirrahmanirrahim

 



Bismillahirrahmanirrahim

 April fool manana Islam mein jayaz nahi kyunki is din jhooth bola jata hai jo kabira gunah hai Jhooth na bolne se related kuch ahadith aapke samne pesh ki ja rahi hai -


✦ Hadith: Halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasaney ke liye jhooti baat kare 


✦ Muawiyah ibn Jaydah al-Qushayri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasane ke liye jhooti baat kare, iske liye kharabi hai , iskey liye kharabi hai

Sunan Abu Dawud, Vol 3,1552 -Hasan

✦ Safwaan bin Sulaim radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kya momeen buzdil ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya kya Momeen JHOOTA ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya nahi.

Imam Malik Muwatta,Vol 56,#19


✦ Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye jannat ke beech mein ek ghar ki zamant deta hu jo mazaq mein bhi jhoot bolna chodh de

Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Hasan


  Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna, aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain) Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh nahi honge .
Sahih Bukhari, Vol 7, 5976

✦ Abdullah ibn masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki 

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jhooth se bachte raho kyunki jhooth burayee ki taraf le jata hai aur burayee jahannam ki taraf , agar koi aadmi jhooth bolta hai aur musalsal jhooth bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko kazzab (jhootha) likh diya jata hai


✦ aur sach bolna tum par lazim hai kyunki sach neki ki taraf le jata hai aur neki jannat ki taraf le jati hai, agar koi aadmi sach bolta hai aur musalsal sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko siddiq ( sachcha) likh diya jata hai
Sunan Abu Dawud, Vol 3,1551-Sahih

----------------------------------------------------------------------------

✦ Narrated Mu'awiyah ibn Jaydah al-Qushayri Radhi allahu anhu 
The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Woe to him who tells things, speaking falsely, to make people laugh thereby. Woe to him! Woe to him!.
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4972-Hasan

✦ Narrated by Safwaan bin Sulaim The Messenger of Allah peace be upon him, was asked, 'Can the Believer be a coward?' He peace be upon him said, 'Yes.' He was asked, 'Can the Believer be a miser He peace be upon him said, 'Yes.' He was asked, 'Can the Believer be a liar?' He peace be upon him said, 'No.'
Malik Muwatta,Vol 56,#19

✦ Narrated AbuUmamah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: I guarantee a house in the middle of Paradise for a man who avoids lying even if he were joking.
Sunan Abu Dawud Book 41, 4782-Hasan

✦ Narrated Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Shall I not inform you of the biggest of the great sins?" We said, "Yes, O ALLAH's ApostleSal-Allahu Alaihi Wasallam " He said, "To join partners in worship with ALLAH: to be undutiful to one's parents." The Prophet sat up after he had been reclining and added, "And I warn you against giving forged statement and a false witness; I warn you against giving a forged statement and a false witness." The Prophet kept on saying that warning till we thought that he would not stop. 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 7: 


✦ Abdullah ibn masood Radhi allahu anhu reported the Messenger of Allah (May peace be upon him) as saying : Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell; and if a man continues to speak falsehood and makes falsehood his object, he will be recorded in Allah's presence as a great liar. And adhere to truth, for truth leads to good deeds, and good deeds lead to paradise. If a man continues to speak the truth and makes truth his object, he will be recorded in Allah's presence as eminently truthful.

No comments:

Post a Comment