hamesha dair kar deta hoon main


zaruri baat kehni ho
koi vaada nibhaana ho
usay avaaz deni ho
usay vaapas bulana ho
hamesha dair kar deta hoon main


madad karani ho uski
yaar ki dhaaras bandhaana ho
bohat derina raaston par
kisi se milne jana ho
hamesha dair kar deta hoon main


badalate mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhana ho
kisi ko bhool jana ho
hamesha dair kar deta hoon main


kisi ko maut se pehle
kisi gham se bachana ho
haqiqat aur thi kuch
us ko jaa ke ye bataana ho
hameshaa der kar deta hoon main