Search Papers On This Blog. Just Write The Name Of The Course

Tuesday 26 April 2016

))))Vu & Company(((( Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

--

Zindagi may aik cheez hoti hay jisay Compromise kehtay hain....pur-
sakoon zindagi guzarnay k liay is ki bohat zaroorat parti hay...jis cheez 
ko tum badal na sako is k saath compromise ker lia kro, mager apni kisi bhi
kwahish ko kabhi bhi janoon mat bnana, keo k zindagi main kuch cheezain aisi
 hoti hain jo hmay kabhi nahi mil saktee...chahay hum roaye, chillain,,,ya bchon
 ki tarah airian rgrain...wo kisi dosray k liay hoti hain...magar is ka yeh matlab
 nahi k zindagi main hamaray liay kuch hota hi nahi...kuch na kuch hmaray liay bhi hota hay..."



Jab sina gam se bojhal ho or yad kisi ki aati ho.

Tab kamray main band ho jana or chupkay chupkay ro lena.

Jab palkain karb se mondi ho or sab samjhain tum sotay ho.

Tab mun pe takia rakh lena or chupkay chupkay ro lena.

Yeh dunia zalim dunia hay yeh bat buhat phelaiy gi.

Tum samnay sab k chup rehna or chupkay chupkay ro lena.

Jab barish chehra dho dalay or ashk bhi bondain lagtay ho.

Woh lamha hargiz mat khona or chupkay chupkay ro lena..

Bangush

--
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Vu and Company" group.
To unsubscribe from this group and stop receiving emails from it, send an email to vu-and-company+unsubscribe@googlegroups.com.
Visit this group at https://groups.google.com/group/vu-and-company.
For more options, visit https://groups.google.com/d/optout.

No comments:

Post a Comment